Wednesday, April 8, 2009

दर्द नही रुलाता...

आज जब देख रही हूँ,
पीली पुरानी तस्वीरें ,
आ रहे हैं याद मुझे,
कितनेही गुज़रे ज़माने,
भूली नही पल एकभी,
ना ख़ुशी का, ना ग़म काही ,
पर आज हर लम्हये ख़ुशी,
खुनके आँसू रुला रही,
दर्द अब नही रुलाता,
उसकी तो आदत पड़ गयी,
ख़ुशी है जो नायाब बन गयी ....

1 comment:

'sammu' said...

jo beeta vo meetha sapna tha haan yad aye to ro lena
par askon ke motee khushiyon kee seepee me sanjo ke so lena .
peelee se huyeen tasveeron ne ek vaqt ka dauran dekha hai .
toone bhee hain dekhe kitne safar, bas yad bachakar rakh lena .

kya dard rulayega tujhko ,
har dard se tera sanjha hai
too heer hai kishton me martee,
har dard hee tera ranjha hai .

nayab sada hotee hai khushee
har dard too pee har dard too jee,
har dard me bhee ek takat hai
har dard me bhee ek rona hai
us dard ko pee us dard ko jee

ashkon se nahee ,bahon ko utha
de likh de yugon kee chatee par
har dard se mera nata hai
har dard me dil ka kona hai
har dard hee hai tera saathee
har dard hee yar bichauna hai .
har dard se lena dena hai .

par dard koyee tera hee naheen
har dard se lena dena hai
har dard se rishta nata hai
har dard hee dil ka kona hai
ho dard tera ya dard mera
ya koyee bhee ho mazloom kaheen
har dard sabhee vo tera hai
har dard sabhee vo mera hai
har dard vo tera mera hai !
har dard vo tera mera hai !

,